Featured post

Ek tera Nasha, Ek mera Nasha

THESE ARE THE WORDS OF A GUY WHO IS IN LOVE WITH A DRUG ADDICT GIRL.....WHILE ALL OTHER HATE HER DRUG ADDICT PART...HE IS THE ONLY ONE TO ...

Wednesday 16 December 2015

Ek tera Nasha, Ek mera Nasha

THESE ARE THE WORDS OF A GUY WHO IS IN LOVE WITH A DRUG ADDICT GIRL.....WHILE ALL OTHER HATE HER DRUG ADDICT PART...HE IS THE ONLY ONE TO UNDERSTANDS HER NEED OF SYMPATHY AND A HAND THAT CAN PULL HER OUT OF THE FIX SHE IS IN

Ek nasha Tera hai aur Ek nasha mera hai
Ek adaa teri hai, uspe ghayal saari Fiza hai

Tu sharaab daru peeti hai, mai baarish ka paani peeta hoon
Aa aazma le meri chahat ko, tujhse zyada nashe me jeeta hoon

Tu aaine me khudko dekhti hai, Mai har nazaare me tujhe dekhta hoon
Ye chillam cigar cheej kya hai, bin nasha kiye hi tujhme khoya khoya rehta hoon

Kuch log kehte hai, ki teri muskaan dekh ke, unko haseen khayaal aata hai
Wo aashiq kya jo muskurahat ki kashish me tere aansooon dekh nahi pata hai

Wo kehte hai ki tere ishq me wo bikhre mujhse zyada fir bhi befikar yoon hai
Fir jab ishq ke samandar me aage nikal aaye toh kinaara dekhte kyu hai

Beeta dard ka lamha, jab milke bhi tum dil se mil na paayi thi
Koshish ek aur kar, baahein khuli hain, aaja jaise inme tab samayi thi

mai jab dil se yaad karta hoon, tum ek pal jaise mil hi jaati ho
fir kyu chaukhat pe aakar wapas jaane ko mooh ghumati ho

Jaane kya cheej samajhti ho khud ko, teer ya khanjar,
Maana Dil ghayal kuch baar ho gya, par ab ban gaya pathhar

Tere bikhre sawaalon ka mera ishq ek akela jawaab hai
Tere honge kai hazaar, meri tu bas ek khwaab hai

Teri inn aadaton se shikwa toh hume bhi hai
Laakh dete honge hidaayat aur salaah, par humdardi toh hume hi hai

Mujhe maaloom hai tum andarr se kitni ghutti rehti ho
Sabke taane sunti ho par majboor si chup baithi rehti ho

Ek mauka toh dena ishq ko apni dawa aazmaane ka
Teri aadat chudaane ka, tujhe apne nashaa ka jalwa dikhaane ka

Teri aadat mitaane ko, ishq ko nazdeek aane do
Unhe tum bhool hi jaogi, sirf chorrne ki baat karti ho

Mai bas yahin sarak kinaare toofanon me bhi tera intezaar karunga
Jab dil bhar jaaye, wapaas chali aana, harr baar yahin milunga
. .  .   .    .     .      .       .        .         .           .             .               .                   .
LAST TIME I HAD SHARED A 4LINE STANZA multistanz....AND HERE IS THIS VARIATION
….THANKS FOR VISITING…PLEASE COME BACK AND THE NEXT TIME ALONG WITH YOUR FAMILY AND FRIENDS AND YOUR BELOVED SAATHIYA…
PLEASE SHARE MY LINK
https://authoreklavya.wordpress.com/
https://authoreklavya.blogspot.com/
 AS THATS THE WAY GUYS YOU CAN INSPIRE ME TO KEEP WORKING…
FEEDBACKS AWAITED

Wednesday 9 December 2015

HERE'S THIS MULTISTANZ; A ROMANTIC GENRE ... HOPE THAT YOU ALL RECOGNIZE WITH IT OR ATLEAST ITS PARTS


Beet gaya tera ishq fir kyu dard mujhpe barsa rahi ho
Kyu sitam ki aandhiyaan beintehaan yoon dhah rahi ho
Ho gaye the hum judaa, tum pe na raha ye dil fida
Fir nashili aadat ki tarah, bicharr kar kyu yaad aa rahi ho

Ishqwaale dard-e-dil me ansuni ankahi kahaani bante hai
Deewane bante hai, ishqwaale bante hai, fir unke afsaane bante hai
Ek zara unke dard me, aur duaa aur marz me
Lo sun lo aaj hum bhi apni kuch bhooli-bisri yaadein likhte hai

Ye hai kahaani ek karz ki aur ek zamaane ke ek bedard ki
Uske ishq ki, uske karz ki, mere bikhre dil ke marzz ki
Ek akela dil mai tanha tha, bas ek sahara uska kandha tha
Jis saathi ko kabhi jaan na saka, usko mere diye dard ki

Main har pal hasta jaata tha tum pal pal roti rehti thi
Mere berukh dil se haar kar Kone me maayus baithi rehti thi
Main aaj samajhta hoon tum mere ishq me kaisi paagal thi
Main chai me adrak maangta tha, tum aasoon peekar bhi khush rehti thi

Jab hum ghumne jaate the main tumse alag ho jaata tha
Bheed ki mehfil aur mastii me tera saath bhool hi jaata tha
Aaj kis dar pe karoon shikaayat teri gumshudgi ki
Kitna marta hoon main aaj ki kyu tujhe tanha chorr jaata tha

Tu mere paas itni thi fir bhi door kitni thi
Mere isshq ki chahat me, madhosh choor kitni thi
Par tere ehsaas se nafrat kar, dil ye patthar ban jaata tha
Maaloom hua hai ab, ki aise me, hamari kahani beshaq mitni thi


Main tere ghar kabhi aata tha, har choti lambi baat karwi hi sunaata tha
Yaadon me gham de jaata tha, aankhe aansoo se nam kar jaata tha
Fir bhi isshq tumhara itna beintehaan yoon, inn sitamon se beparwah kyu,
Ki har baar jharokhe se nazrein milati thi, jab bhi main laut kar wapas jaata tha



Khair ye sab baatein hai, sirf adhure iraadein hai
Teri maafiyon ki, meri galtiyon ki, dard bhari kuch yaadein hai
Dil mera ab sudhra hai, isme tujhse seekhi wafaayein hain
Aashiq ban ek kaafir aaj rab se maangta duaayein hai


Yaad hai wo chowk jaha tum pehli baar mujhse takraayi thi
 Muskaan meri aadhi si thi, aur tum bhi zara sharmaayi thi
Fir aaj wahi se wo kahaani puri karne mai laut aaya hoon,
Intezaar me hoon ki tu fir milegi jaise kabhi takrayi thi.


 . .   .    .     .      .        .          .            .                  .                           .                                   

Kuch dhuaa hua, kuch bachaa hoon, ab bas kuch palon me mit raha hoon
Majdhaar me hoon, Doob raha hoon, teri kashti ke intezaar me hoon


 Tujhpe lutaane ko, tujhpe mitaane ko ab bhi halki jaan baaki hai
Waqt nahi hai saason ke paas par darr pe teri aahat ab bhi baaki hai

STORYLINE-TO BE CONTUNUED


I REQUEST ALL TO SUGGEST A TITLE FOR THIS

....THANKS FOR VISITING...PLEASE COME BACK AND THE NEXT TIME ALONG WITH YOUR FAMILY AND FRIENDS AND YOUR BELOVED SAATHIYA...

PLEASE SHARE MY LINK http://authoreklavya.blogspot.in/ AS THATS THE WAY GUYS YOU CAN INSPIRE ME TO KEEP WORKING...

This was the first multistanz from me and so, sorry for all the mistakes i have made in it, and i promise to improve on everything i am bad at in my upcoming works...and i will try my very best to come up with stupidandgenerous works almost every week...so keep coming back
FEEDBACKS awaited...
:)